Bahut hi door kahiin wadeyon se yeh sada aai
Ke jab tum pyaar karna tu iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai usse umeed hoti hai
Usse umeed hoti hai kisi ke muskurane ki

Kisi ke muskuraane aur phir nazrein jhukane ki
Inhee jhukti hue nazroo se us ke aah bharne ki
Woh jo iqraar karta hai usse umeed hoti hai
Haan jo iqraar karta hai usse umeed hoti hai

Usse umeed hoti hai ke woh nakaam na hoga
Usse umeed hoti hai ke woh badnaam na hoga
Usse umeed hoti hai ke jo sapna us ne dekha hain
Woh sapna aik din sharminda-e-tabeer honge

Woh sapne jin mein us ne khud ko bahut masroor dekha hai
Woh sapna jis mein us ne ek hasseen chehre ko dekha hai
Woh chehra jis peh bal khaati zulfoon ka pehra hai
Woh chehra jis peh do aankhoon ka kaala rang ghehra hai

Woh chehra jis peh do hanste hue se lab hain
Hazaaroon phool baraste hain woh lab jab bolti hain
Woh lab jin se nikalte hue alfaaz jo sun le
Woh bas ulfat mein par jaye hazaaroon khowab woh ban le

Kisse kaise bataye us ke hai lehje ka assar kya
Ke jaise barsoon se pyasi kisi zameen peh baarish
Ke jaise sadeyoon se be-jaan jism per dam-e-Essa
Woh haseen aur woh khud ek chote se ghar mein rehti hain

Woh donoo choti choti batoon pe roz hansti rehti hain
Woh chota ghar ke jahaan har taraf khushiyan hi khushiyan hain
Woh chota ghar jahaan har taraf hi pyar ayyaaan hai
Yeh sapnay woh hi bunta hai jissay umeed hoti hai

Ke sapnay aik din sharminda-e-tabeer bhi honge
Magar aisa na ho tu phir
Agar aisa na ho tu phir
Magar aisa na ho tu phir
Agar aisa na ho tu phir
Woh sapnay toot jaayain tau
Woh gar nakaam ho jaaye tau
Woh lab na muskuraayain tau
Agar aisa na ho tu phir
Woh lab na muskuraayain tau
Agar aisa na ho tu phir
Agar aisa na ho tu phir bahut takleef hoti hai
So jab tum pyaar karna tu kabhi iqraar mat karna
Ke jo iqraar karta hai ussay umeed hoti hai
Ke jo iqraar karta hai ussay takleef hoti hai...

Kuch samaj mein aaya....aaya ha...ha na..???? If yes...mujhe bata dena..??